Sharab shayari

Sharab Shayari
Sharab Shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought. So don't waste your beautiful thoughts but share your Sharab Shayari with us so that world can see your thinking and truly in your 

Gham is kadar mila ki ghabra ke pee gaye,
Khushi thodi si mili to mila ke pee gaye,
Yun to naa thi janam se peene ki aadat,
Sharab ko tanha dekha to taras khaa ke pee gaye.

Pee hai sharab har gali har dukan se,
Ek dosti si ho gai hai sharab ke jaam se,
Guzre hain hum ishq mein kuchh aise mukam se,
Ke nafrat si ho gai hai mohabbat ke naam se.

Teri aankhon ke ye jo pyale hain,
Meri andheri raaton ke ujale hain,
Peeta hoon jaam par jaam tere naam ka,
Hum to sharabi....be-sharab wale hain..!!


Ek jaam ulfat ke naam, ek jaam mohabat ke naam.
Ek jaam wafa k naam, puri botal bewafa ke naam,
Aur pura theka doston ke naam

Rok do mere janaze ko zaalimon, mujh mein jaan aa gayi hai
Peeche mud ke dekho kameeno....Daru ki dukan aa gayi hai.!?!
CHEERS !?!

Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahoon aaj phir hosh nahin,
Is tarah dooba hoon teri mohabbat ki gahrai mein,
Hath mein jaam hai aur peena ka hosh nahin.

Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.

Aashikon ko mohabbat ke alava agar kuchh kaam hota,
Toh maikhane jake har roz yun badnam na hota,
Mil jaati chahne wali usse bhi kahin raah mein koi,
Agar kadmon mein nasha aur hath mein jaam na hota.

Aisi kiran hoon, jise suraj ne kabhi apna nahin samjha,
Aisi khusbu hoon, jise phoolon ne apna nahin samjha.
Aisi dhadkan hoon, jise dil ne kabhi apna na samjha,
Lekin khushnaseeb hoon, jo is sharabi ko maikhane ne apna samjha.


Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain.
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.

Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.

Pine de aur mujhe ki hosh abhi baki hai,
Tere yaadon ka ek lamha abhi baki hai,
Jana hai ladkhadate hue maihkhane se mujhko,
Pine de thodi, saanson mein jaan bhi baaki hain.

Jaam mein afsane dhoondhte hain hum log,
Lamhon mein zamaane dhoondhte hain hum log,
Tu zeher de de sharab keh kar saqi,
Ab to marne ke bahane dhoondhte hain hum log.


Sharabi ilzaam sharaab ko deta hai,
Aashiq bhi ilzaam shabaab ko deta hai.
Koi nahi karta, kabool apni bhool,
Kantaa bhi ilzaam gulaab ko deta hai.


Doosron ke liye kharaab hi sahi,
Hamare liye to zindagi ban jati hai.
Sau ghamon ko nichodne ke bad hi,
Ek katra shaarab ban jati hai.


Saqii aur pila ki pilane ki raat hai,
Pee-pee ke aaj hosh main na aane ki raat hai.
La aaj shaarab mein mujhko dubo de,
Maine suna hai aaj pyaas bujhane ki raat hai.

No comments:

Post a Comment

Papa ke liye shayari

Papa ke liye shayari   FATHER’S DAY STATUS LINES AND IMAGES Thank you Dad, Since From My Childhood, taking Education Decision, E...